Letra de 'Main Zinda Hoon' de Sonu Nigam

Quer conhecer a letra de Main Zinda Hoon de Sonu Nigam? Você está no lugar certo.

No nosso site, temos a letra completa da música Main Zinda Hoon que você estava procurando.

saathiyo saathiyo aakhiri baar
kya keh raha hoon suno
ho sake toh suno

maine apne garm lahu se
waqt ke barfeele kaaghaz pe
ik paigham likha hai
jinke naam likha hai
unn tak pahucha dena
unn tak pahucha dena
mere mann ki baat unhe tum batla dena

maine apne garm lahu se
waqt ke barfeele kaaghaz pe
ik paigham likha hai
ik paigham likha hai

meri maa se tum yeh kehna
bachpan mein mujhse tune kaha tha
dharti maa bhi maa hoti hai
maine aaj iss dharti maa ki laaj rakhi hai
mat ro maa tu kyun roti hai
kyun roti hai
kyun roti hai

maine apne garm lahu se
waqt ke barfeele kaaghaz pe
ik paigham likha hai
ik paigham likha hai

mere baba se tum kehna
bachpan mein mujhse tumne kaha tha
aisa kuch mat karna ki main sharminda hoon
tumne kaha tha itihas humse kehta hai
jo hai bahadur, marke bhi zinda rehta hai
baat tumhari maan li maine
apne watan pe jaan di maine
dekho baba aaj main marke bhi zinda hoon

sau karod insaano ke
ehsaas mein main zinda hoon
hindostaan ke mann mein base
vishwas mein main zinda hoon

naujawaan chehron mein main hoon
sarhad par pehron mein main hoon
tum mera koi gham na karna
apni palkon ko namm na karna
apna gaurav kam na karna
apna gaurav kam na karna

main zinda hoon
main zinda hoon
main zinda hoon

Existem muitos motivos para querer conhecer a letra de Main Zinda Hoon de Sonu Nigam.

Sinta-se como uma estrela cantando a música Main Zinda Hoon de Sonu Nigam, mesmo que sua plateia sejam apenas seus dois gatos.

Você está discutindo com seu parceiro(a) porque entendem coisas diferentes ao ouvir Main Zinda Hoon? Ter à mão a letra da música Main Zinda Hoon de Sonu Nigam pode resolver muitas disputas, e esperamos que assim seja.

Esperamos ter ajudado com a letra da música Main Zinda Hoon de Sonu Nigam.

Nesta página, você tem à disposição centenas de letras de músicas, como Main Zinda Hoon de Sonu Nigam.